Sad Shayari, Pehli Mohabbat Ka Anzaam
हर तन्हा रात में एक नाम याद आता है,
कभी सुबह कभी शाम याद आता है,
जब सोचते हैं कर लें दोबारा मोहब्बत,
फिर पहली मोहब्बत का अंजाम याद आता है।
Har Tanha Raat Mein Ek Naam Yaad Aata Hai,
Kabhi Subhah To Kabhi Shaam Yaad Aata Hai,
Jab Sochte Hain Kar Lein Dobara Mohabbat,
Fir Pehli Mohabbat Ka Anzaam Yaad Aata Hai.

देख लेते हो मोहब्बत से यही काफी है,
दिल धड़कता है सहूलियत से यही काफी है,
हाल दुनिया के सताए हुए कुछ लोगों का,
जो पूछ लेते हो शरारत से यही काफी है।
Dekh Lete Ho Mohabbat Se Yehi Kaafi Hai,
Dil DhadakTa Hai Sahuliyat Se Yehi Kaafi Hai,
Haal Duniya Ke Sataaye Huye Kuchh Logon Ka,
Jo Poochh Lete Ho Shararat Se Yehi Kaafi Hai.
इस तरह मिली वो मुझे सालों के बाद,
जैसे कोई हक़ीक़त मिली हो ख्यालों के बाद,
मैं पूछता ही रहा उससे खताएं अपनी,
वो बहुत रोई थी मेरे सवालों के बाद।
Iss Tarah Mili Wo Mujhe Saalo Ke Baad,
Jaise Koi Haqikat Mili Ho Khayalon Ke Baad,
Main Poochhta Hi Raha Uss Se Khatayein Apni,
Wo Bahut Royi Thi Mere Sawaalon Ke Baad.
Shayari Udaas Karti Hain Nishaniyan Teri
वो तेरे खत तेरी तस्वीर और सूखे फूल,
बहुत उदास करती हैं मुझको निशानियाँ तेरी।
Wo Tere Khat Teri Tasvir Aur Sookhe Phool,
Bahut Udaas Karti Hain Mujhko Nishaniyan Teri.
मुझे ये डर है तेरी आरजू न मिट जाये,
बहुत दिनों से तबियत मेरी उदास नहीं।
Mujhe Ye Darr Hai Teri Aarzoo Na Mit Jaye,
Bahut Dinon Se Tabiyat Meri Udaas Nahin.
अब न खोलो मेरे घर के उदास दरवाज़े,
हवा का शोर मेरी उलझनें बढ़ा देता है।
Ab Na Kholo Mere Ghar Ke Udaas Darwaze,
Hawa Ka Shor Meri Uljhanein Bada Deta Hai.
बिछड़ के मुझसे तुम अपनी कशिश न खो देना,
उदास रहने से चेहरा खराब होता है।
Bichhad Ke Mujhse Tum Apni Kashish Na Kho Dena,
Udaas Rehne Se Chehra Kharab Hota Hai.
जो हो सके तो चले आओ आज मेरी तरफ़,
मिले भी देर हो गई और जी भी उदास है।
Jo Ho Sake To Chale Aao Aaj Meri Taraf,
Mile Bhi Der Ho Gayi Aur Jee Bhi Udaas Hai.
उदास कर देती है हर रोज ये शाम मुझे,
लगता है तू भूल रहा है मुझे धीर-धीरे।
Udaas Kar Deti Hai Har Roj Ye Shaam Mujhe,
Lagta Hai Tu Bhool Raha Hai Mujhe Dheere-Dheere.
Kaanton Pe Bhi Haq Humara Nahi
चल मेरे हमनशीं अब कहीं और चल,
इस चमन में अब अपना गुजारा नहीं,
बात होती गुलों तक तो सह लेते हम,
अब काँटों पे भी हक हमारा नहीं।
Chal Mere Hum-Nashin Ab Kahin Aur Chal,
Iss Chaman Mein Ab Apna Gujaara Nahi,
Baat Hoti Gulon Tak To Seh Lete Hum,
Ab To Kaanton Pe Bhi Haq Humara Nahi.
Sad Udasi Shayari in Hindi
तलाश उसकी करो जो किसी के पास न हो,
भुला दो उसे जिस पर विश्वास न हो,
हम तो अपने ग़मों पर भी हँस पड़ते हैं,
वो इसलिए कि सामने वाला उदास न हो।
Talaash Uski Karo Jo Kisi Ke Paas Na Ho,
Bhula Do Use Jis Par Vishwas Na Ho,
Hum To Apne Gamo Par Bhi Hass Padte Hain,
Wo Isliye Ki Samne Wala Udaas Na Ho.
खुद को कुछ इस कदर तबाह किया,
इश्क़ किया एक खूबसूरत गुनाह किया,
जब मोहब्बत में न थे तब खुश थे हम,
दिल का सौदा हमने बेवजह किया।
Khud Ko Kuchh Iss Kadar Tabaah Kiya,
Ishq Kiya Ek KhoobSurat Gunaah Kiya,
Jab Mohabbat Mein Na The Tab Khush The Hum,
Dil Ka Sauda Humne BeWajah Kiya.
